Gayatri Mata Chalisa
Gayatri Chalisa is a very beautiful medium to worship Gayatri Mata. This mantra has a group of forty verses. Through which devotees worship Mother Gayatri.
Mother Gayatri always keeps her kind eyes on her devotees. By her grace, man always lives a happy life.

Doha
Hin thrin, klin, Medha, Prabha, Jiwan Jyoti prachand.
Shaanti, Kranti, Jaagruti, Pragati, Rachna shakti akhand.
Jagat Janani, Mangal karni, Gayatri sukhdhaam.
Pranwon savitri, Swadha, Swaha puran kam.
Chaupai
Bhur Bhuvah svah Om yut janani.
Gayatri nit kalimal dahni.
Akshar chaubis param punita.
Inme basen shaastra, shruti, Geeta.
Shashwat satoguni satrupa.
Satya sanatan sudha anupa.
Hansarudh sitamber dhaari.
Swarnkaanti shuchi gagan bihari.
Pushtak pushp kamandlu mala.
Shubhra warn tanu nayan wishala.
Dhyan dharat pulkit hiya hoi.
Sukh upjat, dukh durmati khoi.
Kaamdhenu tum sur taru chaya.
Nirakar ki adbhut maya.
Tumhari sharan gahai jo koi.
tarae sakal sankat so soi.
Saraswati Lakshmi tum kaali.
Dipae tumhari jyoti nirali.
Tumhari mahima paaran paawen.
Jo sharad shat mukh gun gaawen.
Char wed ki maatu punita.
Tum Brahmaani Gauri Sita.
Mahamantra jitne jag maahi.
Kou Gayatri sam naahin.
Sumirat hiya me gyan prakasae.
Aalas pap awiddha naasae.
Srishti beej jag janani bhawani.
Kal raatri warda kalyaani.
Brahma Wishnu Rudra sur jete.
Tum so paawen surta tete.
Tum bhaktan ki bhakt tumhaare.
Jananihi putra pran te pyaare.
Mahima aparmpar tumhari.
Jai Jai Jai tripada bhay haari.
Purit sakal gyan wigyana.
Tum sam adhuk na jag me aana.
Tumhi jaani kachu rahae na shesha.
Tumhi paay kachu rahe na klesha.
Janat tumhi, tumhi hai jaai.
Paaras parsi kudhata suhai.
Tumhari shakti dipae sab thai.
Mata tum sab thaur samai.
Grah nakshatra brahamand ghanere.
Sab gatiman tumhare prere.
Sakal srishti ki pran widhata.
Paalak poshak naashak trata.
Maateshwari daya wrat dhaari.
Tum san tare patki bhaari.
Jaapar kripa tumhari hoi.
Taapar kripa karen sab koi.
Mand buddhi te buddhi bal paawen.
Rogi rog rahit ho jaawen.
Daarid mitae katae sab pira.
Naashae dukh harae bhaw bheera.
Grah kalesh chit chinta bhaari.
Naasae Gayatri bhay haari.
Santiti hin susanti paawen.
Sukh sampati yut mod manaawe.
Bhut pishach sabae bhay khaawen.
Yam ke doot nikat nahin aave.
Jo sadhwa sumiran chit lai.
Achat suhag sada sukhdai.
Ghar war sukh prad lahae kumari.
Widhwa rahen satya wrat dhaari.
Jayati jayati Jagdamb Bhawani.
Tum sam aur dayalu na daani.
Jo sadguru so diksha paawen.
So saadhan ko safal banaawen.
Sumiran kare suruchi badbhaagi.
Lahae manorath grihi wiragi.
Asht siddhi nawnidhi ki data.
Sab samarth Gayatri Mata.
Rishi, Muni, Yati, Tapaswi, Jogi.
Aarat. Arthi, Chintit, Bhogi.
Jo jo sharan tumhaari aawe.
So so man wanchit phal paawe.
Bal, Buddhi, Widdha, Shil swabhaw.
Dhan waibhaw yash tej uchau.
Sakal badhe upje sukh nana.
Jo yah paath kare dhari dhyana.
~ Doha ~
Yah chalisa bhakti yukt, Paath kare jo koy.
Taapar kripa prasannta, Gayatri ki hoy.
Gayatri Chalisa Benefits
He who recites Gayatri Chalisa daily, with rapt attention will have increased strength, intellect, earning, improved character and nature, multiplied wealth, luxury, prestige and provel. All these will multiply to give him various types of happiness.
Regular recitation of Gayatri Chalisa gives peace of mind and keeps away all the evil from your life and makes you healthy, wealthy and prosperous.
Gayatri Chalisa Calms the mind.
Gayatri Chalisa Improves immunity.
Increases concentration and learning.
Improves your breathing.
Helps keep your heart healthy.
Improves the working of your nerves.
Helps beat damage caused due to stress.